Few Evergreen Bollywood Hit Songs

Few gems are presented below:

chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye ham dono

na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se
na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se

tumhe bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
mujhe bhi log kehte hain ki yeh jalve paraaye hain
mere hamraah bhi rusvaaiyaan hain mere maazi ki
tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saaye hain

taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
usse ek khubsurat mod dekar chhod na achchha

ajeeb daastaan hai yeh
kahan shuru kahan khatam
yeh manzile hain kaun si
na voh samajh sake na hum

yeh roshni ke saath kyun
dhuaan utha chiraag se
yeh khwaab dekhti hoon main
ke jag padi hoon khwaab se

mubaarakein tumhe ke tum
kisi ke noor ho gaye
kisi ke itne paas ho
ke sab se door ho gaye

kisi ka pyaar leke tum
naya jahan basaaoge
yeh shaam jab bhi aayegi
tum humko yaad aaoge

lag jaa gale ki phir yeh haseen raat ho na ho
shaayad phir is janam mein mulaaqaat ho na ho

humko mili hain aaj yeh ghadiyaan naseeb se
jee bhar ke dekh lijiye humko qareeb se
phir aapke naseeb mein yeh baat ho na ho

paas aaiye ki hum nahin aayenge baar baar
baahen gale mein daal ke hum ro len zaar zaar
aankhon se phir yeh pyaar ki barsaat ho na ho

tere bina zindagi se koi shikwa to nahin
tere bina zindagi bhi lekin zindagi to nahin

kaash aisa ho tere qadmo se
chun ke manzil chale aur kahin door kahin
tum gar saath ho manzilo ki kami to nahin

ji mein aata hai tere daaman mein
sar chhupaake hum rote rahein
teri bhi aankhon mein aansuon ki nami to nahin

tum jo keh do to aaj ki raat
chaand doobega nahin raat ko rok lo
raat ki baat hai aur zindagi baaqi to nahin

waqt ne kiya kya haseen sitam
tum rahe na tum ham rahe na ham

beqaraar dil is tarha mile
jis tarha kabhi ham juda na the
tum bhi kho gaye ham bhi kho gaye
ek raah par chalke do kadam

jaayenge kaha sujhta nahi
chal pade magar raasta nahi
kya talaash hai kuchh pata nahi
bun rahe hain dil khaab dam-ba-dam

kabhi tanhaiyon mein yun hamari yaad aayegi
andhere chha rahe honge ke bijli kaundh jayegi

ye bijli raakh kar jayegi tere pyaar ki dunia
na phir tu jee sakega aur na tujko maut aayegi

rang aur noor ki baraat kise pesh karoon
ye muraadon ki haseen raat kise pesh karoon

maine jazbaat nibhaaye hain usoolon ki jagah
apne armaan piro laaya hoon phoolon ki jagah
tere sehre ki ye saugaat kise pesh karoon

ye mere sher mere aakhri nazraane hain
main un apnon me hoon jo aaj se begaane hain
betaaluq si mulaaqaat kise pesh karoon

surkh jode ki tabotaab mubaarak ho tujhe
teri aankhon ka nayaa khwaab mubaarak ho tujhe
main ye khwaahish ye khayaalaat kise pesh karoon

kaun kahta hai ke chaahat pe sabhi ka haq hai
tu jise chaahe tera pyaar usi ka haq hai
mujhse kahde main tera haath kise pesh karoon

Lata Mangeshkar sings:

nagmaa-o-sher kee saugaat kise pesh karoon
ye chhalakate huye jazzabaat kise pesh karoon

shaukh aakhon ke ujaalon ko lutaoo kis par
mast zulfon kee siyaah raat kise pesh karoon

garm saanson mein chhupe raaz baataoon kis ko
narm hothhon mein dabee baat kise pesh karoon

koee humaraaz to paaoon, koee humdam to miley
dil kee dhadakan ke ishaaraat kise pesh karoon

ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
zindagi aur kuch bhi nahin, teri meri kahani hai

kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai
jeevan ka matlab to aana aur jaana hai
do pal ke jeevan se ek umr churaani hai

tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon
tu mera sahara hai, main tera sahara hoon
aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai
zindagi aur kuch bhi nahin, teri meri kahani hai

toofaan ko aana hai, aakar chale jaana hai
baadal hai yeh kuch pal ka, chhakar dhal jaana hai
parchhaiyaan reh jaati, reh jaati nishaani hai

kasme waade pyaar wafaa sab, baaten hain baaton kaa kyaa
koyi kisi kaa nahin ye jhoothe, naate hain naaton kaa kyaa

hogaa maseehaa saamne tere, phir bhi na tu bach paayegaa
tera apnaa khoon hi aakhir, tujhko aag lagaayegaa
aasmaan mein udne waale, mitti mein mil jaayegaa

sukh mein tere saath chalenge, dukh mein sab mukh modenge
duniyaa waale tere bankar, teraa hi dil todenge
dete hain bhagwaan ko dhokhaa, insaan ko kyaa chhodenge

kaam agar ye Hindu ka hai, mandir kisne loota hai
Muslim ka hai kaam agar ye, Khuda ka ghar kyun toota hai
jis mazhab me jaayaz hai ye, wo mazhab to jhootha hai

zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate, woh phir nahin aate

phool khilte hain, log milte hain
phool khilte hain, log milte hain magar
patjhad main jo phool murjha jate hain
woh baharon ke aane se khilte nahin
kuchh log ek roz jo bichad jate hain
woj hazaron ke aane se milte nahin
umr bhar chahe koi pukara kare unka naam
woh phir nahin aate, woh phir nahin aate

aankh dhoka hai, kya bharosa hai
aankh dhoka hai, kya bharosa hai suno
doston shak dosti ka dushman hai
apne dil me ise ghar banane na do
agar tadapna pade yaad me zindagi
rok lo roothkar unko jaane na do
baad me pyaar ke chahe bhejo hazaroon salaam
woh phir nahi aate, woh phir nahi aate

subaah aate hai, raat jaate hai
subaah aate hai, raat jaate hai yuhin
waqt chalta hi rehta hai rukta nahin
ek pal me ye aage nikal jaata hain
aadmi theek se dekh paata nahin
aur parde pe manzar badal jaata hai
ek baar chale jaate hai jo din raat subaah shaam
woh phir nahi aate, woh phir nahi aate

kal nayein boondein phootenge, kal nayein phool muskayenge
aur nayi ghaas ke nayein farsh par, nayein paaon ithlayenge
woh mere beech nahin aayee, main unke beech main kyun aaun
unke sukoon aur shaamon ka, main ek bhi lamha kyun paaon

main pal do pal ka shayar hoon, pal do pal meri kahani hai
pal do pal meri hasti hai, pal do pal meri jawani hai

mujhse pehale kitne shaayar aaye, aur aakar chale gaye
kuchh aahein bharkar laut gaye, kuchh nagme gaakar chale gaye
voh bhi ek pal ka qissa tha, main bhi ek pal ka qissa huun
kal tumse juda ho jaa’uunga, voh aaj tumhaara hissa huun

kal aur aayeinge nagmon ki, khilti kaliyaan chunnevaale
mujhse behatar kahanevaale, tumse behatar sunnevaale
kal koi mujhko yaad kare, kyon koi mujhko yaad kare
masaruf zamaana mere liye, kyon vaqt apna barbaad kare

main pal do pal ka shayar hoon, pal do pal meri kahani hai
pal do pal meri hasti hai, pal do pal meri jawani hai

[ The poet Sahir Ludhianvi had also written the below ]

main har ek pal ka shaayar hoon, har ek pal meri kahani hai
har ek pal meri hasti hai, har ek pal meri jawaani hai

rishton ka roop badalta hai, buniyaden khatam nahin hoti
khwabon ki aur umango ki, miyaden khatam nahin hoti
ek phool mein tera roop basa, ek phool mein meri jawaani hai
ek chehra teri nishaani hai, ek chehra meri nishaani hai

tujhko mujhko jeevan amrit, ab in haathon se peena hai
inki dhadkan mein basna hai, inki saanson mein jeena hai
tu apni adaen baksh inhen, maein apni wafaen deta hoon
jo apne liye sochi thi kabhi, woh saari duaen deta hoon

main har ek pal ka shaayar hoon, har ek pal meri kahani hai
har ek pal meri hasti hai, har ek pal meri jawaani hai

This is the voice of Suman Kalyanpur and not of Lata Mangeshkar. Sounds identical and perhaps better.

haal-e-dil unko sunana tha sunaya na gaya
jo zubaan par mujhe lana tha woh laya na gaya

pyar se seene pe sar rakh ke to dil kadmon par
apko apna banana tha, banaya na gaya

khelati aankh micholi rahi nazrein apni
jinko palkon mein chupana tha chupaya na gaya

ek hi waar mein haathon se jigar cheen liya
haye jis dil ko bachana tha bachaya na gaya

-0-

Mehdi Hassan Hits

Some gems are presented below:

shaayar: Ahmed Faraz

ab ke hum bichde to shaayad kabhi khwaabon mein mile
jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein mile

dhoond ujde huye logon mein wafa ke moti
ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein mile

tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
dono insaan hain to kyun itne hijaabon mein mile

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha badta hai sharaabon jo sharaabon mein mile

ab na woh main hoon na tu hai na wo maazi hai ‘faraz’
jaise do saaye tamaana ke saraabon mein mile

shaayar: Ahmed Faraz

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chod ke jaane ke liye aa

ab tak dil-e-khushfeham ko hain tujh se ummedein
ye aakhari shamme bhi bujhaane ke liye aa

ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi mehroom
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

kuch to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa

maana ki muhabbat ka chupaana hai muhabbat
chupke se kisi roz jataane ke liye aa

jaise tumhe aate hain na aane ke bahaane
aise hi kisi roz na jaane ke liye aa

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-reh duniya ki nibhane ke liye aa

kis kis ko bataayenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamaane ke liye aa

rafta rafta woh mere hasti ka saamaan ho gayey
pehlay jaan phir jaan-e-jaan phir jaan-e-jaana ho gayey

din-b-din badti gayein is husn ki raanaiyaan
pehlay gul phir gul-badan phir gul-badamaan ho gayey

aap to nazdeek sey nazdeek-tar aatey gayey
pehlay dil phir dilruba phir dil key mehmaan ho gayey

pyar jab hadd se badha saare taqaluf mit gayey
aaap se phir tum huay phir tu ka khunwaan ho gayey

the song in the above video ends at about 09:50 thereafter audio is blank

shaayar: Mir Taqi “Mir”

sheetal chanda agni ban gayee
kante ban gaye phool
pyaar na karna kohun kissi se
pyaar hai man ki bhool

basti basti khak udi hai
jungle jungle aag
yeh dhuan balkhata uthe
jaise kale naag

dekh to dil ke jaan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai

yun uthe aa us gali se hum
jaise koi jahan se uthta hai

baithne kaun de hai phir us ko
jo tere aastaan se uthta hai

ishq ek ‘mir’ bhari paththar hai
kab yeh tujh naatawaan se uthta hai

shaayar: Ahmed Faraz

shola tha jal bujha huun hawaayein mujhe na do
main kab ka ja chuka huun sadaayein mujhe na do

jo zahar pi chuka huun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaayein mujhe na do

aisa kabhi na ho ke palat kar na aa sakuun
har baar door ja ke sadaayein mujhe na do

kab mujh ko aitaraaf-e-muhabbat na tha ‘faraz’
kab maine ye kaha tha sazaayein mujhe na do

mein khayal hoon kisi aur ka
mujhe sochta koi aur hai
sar-e-aeenah mera aks hai
pas-e-aeenah koi aur hai

mein kisi ke dast-e-talab mein hoon
to kisi ke harf-e-dua mein hoon
mein naseeb hoon kisi aur ka
mujhe maangta koi aur hai

ajab aitabar-o-bey aitabaree
ke darmayan hai zindagi
mein qareeb hoon kisi aur ke
mujhe jaanta koi aur hai

mujhe doston ka pata nahin
mujhey dushmanon ki khabar nahin
meri daastan koi aur thi
mera waaqaya koi aur hai

jo milen kabhi unhen poochna
dekhna unhen ghaur se
jinhen raastey mein khabar hui
keh ye raasta koi aur hai

jo meri reyazat-e-neem shab
ko saleem subh na mil saki
to is key mani to yeh hue
keh yahan khuda koi aur hai

shaayar: Bahadur Shah Zafar

baat karani mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi

le gayaa chhin ke kaun aaj tera sabr-o-qaraar
beqarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qaatil meri dushman thi hameshaa lekin
jaise ab ho gaye qaatil kabhi aisi to na thi

unki aankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu
ke tabiyat meri maail kabhi aisi to na thi

kya sabab tu jo bigadata hai ‘zafar’ se har baar
khuu teri huur-e-shamaail kabhi aisi to na thi

shaayar: Qatil Shifai

zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain
main to markar bhi meri jaan tujhe chahoonga

tu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhko
ye meri umr mohabbat ke liye thhodi hai
ek zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis par
maine woh saans bhi tere liye rakh chhodi hai
tujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga

apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujhe
main tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoon
maine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhe
pyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga

teri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraag
jab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aaye
tujhko chhulun to phir aye jaan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushboo aaye
tu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga

-o-

Begum Akhtar Hits

Few gems are presented below:

diwana bana na hai to diwana bana de
varna kahin taqdeer tamasha na bana de

ay dekhne walon mujhe hans hans ke na dekho
tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de

main dhoond raha hoon meri woh shamma kahan hai
jo bazm ki har cheez ko parvana bana de

aakhir koi surat bhi to ho khana-e-dil ki
kaaba nahin banta hai to butkhana bana de

‘behzad’ har ek jaam pe ek sajda-e-masti
har zarrey ko sang-e-dar-e-janaanan bana de

kuch to duniya ki inaayaat ne dil tod diya
aur kuch talkhi-e-halaat ne dil tod diya

hum to samjhe teh ke barsaat mein barsegi sharab
aayi barsaat to barsaat ne dil tod diya

dil to rota rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rawayaat ne dil tod diya

woh mere hain mujhe mil jayenge aa jayenge
aise bekaar khayalaat ne dil tod diya

aapko pyaar hai mujhse ke nahi hai mujhse
jaane kyon aise sawalaat ne dil tod diya

aey mohabbat tere anjaam pe rona aaya
jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya

yun to har shaam ummedon me guzar jati thi
aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya

kabhi taqdir ka maatam kabhi duniya ga gila
manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya

jab hua zikr zamaane me mohabbat ka ‘shakeel’
mujhko apne dil-e-naakaam pe rona aaya

mere humnafas, mere humnawa, mujhe dost banke dagaa na de
mein hoon dard-e-ishq se jaan-valab, mujhe zindagi ki dua na de

mere daagh-e-dil se hai roshni, usi roshni se hai zindagi
mujhe darr hai aye mere chaaragar, ye charaag tu hi bujha na de

mujhe chhod de mere haal par, tera kyaa bharosa hai chaaragar
ye teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur badhaa na de

mera azm itna buland hai, ke paraaye sholon ka darr nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai, ye kahin chaman ko jalaa na de

wo uthe hain leke khum-o-subu, arey O ‘Shakeel’ kahan hain tu
tera jaam lene ko bazm mein, koi aur haath badhaa na de

woh jo hum main tum main qarar tha tumhain yaad ho ke na yaad ho
vahi yaani vaada nibah ka tumhain yaad ho ke na yaad ho

woh naye gilay woh shikaayaten woh mazay mazay ki hikayaten
woh har ik baat pe roothna tumhain yaad ho ke na yaad ho

kabhi hum main tum main bhi chah thi kabhi hum se tum se bhi raah thi
kabhi hum bhi tum bhi the aashnaa tumhain yaad ho ke na yaad ho

jisay aap ginte the aashnaa jisay aap kehte the baawafa
main wohi hoon ‘Momin’-e-mubtalaa tumhain yaad ho ke na yaad ho

ye naa thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hota
agar aur jite rehate yahi intezaar hota

koi mere dil se puchhe tere tir-e-nim kash ko
ye khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota

ye kahaan ki dosti hai ke bane hai dost naaseh
koi chaara saaz hota koi gam gusaar hota

kahun kis se mai ke kya hai shab-e-gam buri balaa hai
mujhe kya buraa tha marna agar ek baar hota

ye masaa-el-e-tasavvuf ye tera bayan ‘Ghalib’
tujhe ham vali samajhate jo na baadah khaar hota

aah ko chaahiye ek umr asar hone tak
kaun jitaa hai tere zulf ke sar hone tak

aashiqi sabr talaab aur tamannaa betaab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak

hamne maanaa ke tagakul na karoge lekin
khaak ho jaaenge hum tumko khabar hone tak

gam-e-hasti kaa ‘Asad’ kisse ho kuz-marg-e-ilaaj
shamaa har rang me jalti hai sahar hone tak

ulti hogayein sab tadbeerein kuch na dawa ne kaam kiya
dekhaa is bemaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya

ahd-e-jawaani ro ro kaata peeri mein li aankhain mund
yaani raat bahut the jaage subah huyi aaraam kiya

yahan ke saped-o-siyaah mein humko dakhal jo hay so itna hai
raat ko ro ro subah kiya aur subah ko jyon tyon shaam kiya

‘Mir’ ke deen-o-mazhab ko ab poochtay kya ho unne to
qashqaa khaincha dair mein betha kab ka tark islam kiya

zindagi kuch bhi nahin phir bhi jiye jaaten hain
tujh pe aey waqt ehsaan kiye jaaten hain

kuch to haalaat ne mujrim hame theraya hai
aur kuch aap bhi ilzaam diye jaaten hain

cheen li waqt ne ulfat ke ghamo ki daulat
khali daaman hai wahi saat liye jaaten hain

zindagi kya hai koi chake kaffan hai ‘Faakir’
umar ke hathonse hum jisko siye jaaten hain

apno ke sitam humse batayain nahi jaate
yeh haadse woh hain jo sunayain nahi jaate

kuch kum hi talluq hai mohabbat ka junoon se
deewane to hote hain banaye nahi jaate

ek umr ki koshish se bhulade hai teri yaad
lekin abhi tak yaad ke saaye nahi jaate

pyalon mein ho zehrab ke kuch aur ho ‘Faakir’
ab hoothon se wapas to yeh laaye nahin jaate

balamwa tum kya jaano preet

man ko lubha ke madh me phansa ke
phir bhi huye na meet

ishq hai chausar ki baazi
haar hai isme preet

-o-

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.