Talat Mahmood Hits

aye dil mujhe aise, jagah le chal jahan koi na ho
apna paraya, meherbana meherban koi na ho

ja kar kahin kho jaon main, neend aye aur so jaon main
duniya mujhe dhonde, magar mera nishaan koi na ho

ulfat ka badla mil gaya, woh gham luta, woh dil gaya
chalna hai sabse door door ab, karvan koi na ho

andhe jahan ke, andhe raaste, jayein to jayein kahan
duniya to duniya, tu bhi paraya, hum yahan na wahan

jeney ki chahat nahin, marke bhi rahat nahin
is paar aanso us paar aahen, dil mera bezuban

humko na koi bulaye, na koi palke bichaye
aye gham ke maron manzil wahin hai, dam ye tote jahan

aagaaz ke din tera, anjam tey ho chuka
chalte rahain hain chalte rahenge, yeh zameen aasmaan

shahar ki raat aur main naashad-o-naakara firoon
jagmagati jaagti sadkon pe awara firoon
aey gham-e-dil kya karoon aey wehshat-e-dil kya karoon

yeh rupehli chaon yeh aakash par taaron ka jaal
jaisi sufi ka tasawwur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kaun samjhe kaun jaane jee ka haal
aey gham-e-dil kya karoon aey wehshat-e-dil kya karoon

raaste mein ruk ke dum loon yeh meri aadat nahin
laut kar waapas chala jaaoon meri fitrat nahin
aur koi humnawa mil jaaye ye kismat nahin
aey gham-e-dil kya karoon aey wehshat-e-dil kya karoon

humse aaya na gaya tumse bulaya na gaya
faasla pyaar mein dono se mitaya na gaya

woh ghadi yaad hai jab tumse mulaqat huyi
ek ishara huya do haath badhe baat huyi
dekhte dekhte din dhal gaya aur raat huyi
woh sama aaj talak dilse bhulaya na gaya

kya khabar thi ke mile hain to bichadne ke liye
kismatein apni banayi hai bigadne ke liye
pyaar ka baagh lagaya tha ujadne ke liye
is tarah ujda ke humse basaya na gaya

yaad rah jati hai aur waqt guzar jata hai
phool khilta bhi hai aur khilke bikhar jata hai
sab chale jaate hain kab dard-e-jigar jata hai
daag jo tune diya dilse mitaya na gaya

aye mere dil kahin aur chal
gham ki duniya se dil bhar gaya
dhundh le ab koi ghar naya
aye mere dil kahin aur chal

chal jahan gham ke mare na hoon
jhuthe aasha ke taare na hoon
in baharon se kya fayeda
jisme dil ki kali jal gayi
zakhm phir se hara ho gaya
aye mere dil kahin aur chal

chaar aanson koi ro diya
pher ke munh koi chal diya
lut raha tha kisi ka jahan
dekhati reh gaye ye zameen
chup raha beraham aasman
aye mere dil kahin aur chal

ashkon ne jo paaya hai woh geeton mein diya hai
is par bhi suna hai ke zamaane ko gila hai

jo taar se nikali hai woh dhun sab ne suni hai
jo saaz pe guzari hai woh kis dil ko pata hai
ashkon ne jo paaya hai woh geeton mein diya hai

hum phool hain auron ke liye, layain hain khushbu
apne liye le de ke bas ik daagh mila hai
ashkon ne jo paaya hai woh geeton mein diya hai

jayein to jayein kahan
jayein to jayein kahan
samjhega kaun yahan
dard bhare dil ki zubaan

mayusiyoun ka majma hai ji mein
kya rah gaya hai is zindagi mein
ruh mein gham dil mein dhuaan
jayein to jayein kahan

unka bhi gham hai apna bhi gham hai
ab dil ke bachaneki umeed kam hai
ek kashti sau toofan
jayein to jayein kahan

o janewale daaman chudake
muskhkil hai jena tujkho bhula ke
isse to hai maut aasaan
jayein to jayein kahan

sine mein shole sanson mein aahein
is zindagi se kaise nibhain
har jazbaat hai viraan
jayein to jayein kahan

meri yaad mein na tum aansu bahana
na ji ko jalana mujhe bhool jana
samjhna ke tha ek sapna suhana
woh guzra zamana mujhe bhool jana

juda meri manzil juda teri rahen
milegi na ab teri meri nigahen
mujhe teri duniya se hai door jana

yeh ro ro ke kehta hai tuta hua dil
nahin hun main teri muhabbat ke kabil
mera naam tak apne lab pe na lana

jalte hain jiske liye, teri aankhon ke diye
dhoond laya hoon wohi, geet main tere liye

dard ban ke jo mere dil me raha, dhal na saka
jaadoo ban ke teri aankhon me ruka, chal na saka
aaj laaya hon wohi geet main tere liye

dil mein rakh lena isse hathon se yeh, chuute na kahin
geet nazuk hai mera sishe se bhi, toote na kahin
gun gunaonga yehi geet main tere liye

jab talak na yeh tere ras ke bhare, hooten se mile
yunhi awara phirega yeh teri, zulfon ke tale
gaye jaonga yehi geet main tere liye

chaand ek beva ki choodi ki tarah toota hua
har sitaara besahaara soch mein dooba hua
gam ke baadal, ik janaaze ki tarah thehare hue
sisakiyon ke saaz par kehata hai dil rota hua

koi nahi mera is duniya mein aashiaan barbaad hai
aansu bhari mujhe qismat mili hai zindagi naashaad hai

ja hava tu rasta le apna, qismat hai meri ji ke tadapanaa
aayi hai mere gham pe javaani, roti hui ik yaad hai

sookh chuke hain aankhon ke jharane, loot liya hamein daag-e-jigar ne
phool nahi ye zakhm khile hain, aasamaan saiyyaad hai

mausam dukhon ka sar par hai chaya, mujhse juda hai khud mera saya
hum hain akele gham ke hain mele, rooh ki fariyad hai

tasweer banata hoon, tasweer nahin banti
ek khwab sa dekha hai, tabeer nahin banti

bedard muhabbat ka itna sa hai afsana
nazaron se mile nazarein, main ho gaya dewana
ab dil ke behalani ki, tadbeer nahin banti

dam bhar ke liye mire duniyan mein chale aao
tarsi hui aankhon ko fir shakl dikha jao
mujh se to meri bigdi takdeer nahin banti

mitwa mitwa
mitwa laagi re ye kaisi anbujh aag
mitwa, mitwa mitwa nahin aaye
laagi re ye kaisi

byakul jiyara byakul naina
ik ik chup mein sau sau bainaa
reh gaye aansu lut gaye raag
mitwa mitwa mitwa mitwa

raat ne kya kya khwab dikhaye
rang bhare sau jaal bichhaye
ankhe khuli to sapne toote
rah gaye gham ke kale saye

hum ne to chaha, bhool he jaye
woh afasana kyon doharaye
dil rah rah ke yaad dilaye

dil mein dil ka dard chhopaye
chalo janha kismat le jaye
duniya parayi log paraye

shaam-e-gham ki qasam aaj ghamgin hain hum
aa bhi jaa aa bhi jaa aaj mere sanam
dil pareshaan hain raat veeran hai
dekh ja kis tarah aaj tanha hain hum

chain kaisa jo pehlu mein tu hi nahin
maar dale na dard-e-judai kahin
rut haseen hai to kya chandni hai to kya
chandni zulm hai aur judai sitam

ab to aaja ke ab raat bhi so gaye
zindagi gham ke sehrav mein kho gaye
dhondti hai nazar tu kahan hai magar
dekhte dekhte aya ankhon mein num

teri khatir sitam dil par gavara kar liya maine
kaha kisne muhabbat se kinara kar liya maine

jo khushi se chot khaaye, woh jigar kahaan se laun
kisi aur ko jo dekhe, woh nazar kahaan se laun

mujhe teri aarzu hai, mere dil mein tu hi tu hai
basey gair jis mein aa kar, main woh ghar kahaan se laun

teri berukhi ke sadake, teri har adaa pe kurbaan
kare aur ko jo sajde, main woh sar kahan se laun

mera pyar mujhe lauta do
mai jeevan mein ulajh gaya hun tum jeena sikhla do

thukrane se pehle mujhko lauta do woh preet ki batein
meri hansi mastiyan meri lauta do woh chandini ratein
mere sapnon ko lauta do mera tuta dil lauta do
mera pyar mujhe lauta do

maine jisko jeevan samjha tumne uski hansi udai
dikha dikha phoolon ke sapne, mujhko kanton ki raah batai
mera apnapan lauta do mere geet mujhe lauta do
mera pyar mujhe lauta do

-0-